chand ho jis tarah sitaron mein

By rizwan-aliFebruary 28, 2024
chand ho jis tarah sitaron mein
munfarid hai wo mah-paron mein
jo bhi utthi nigah teri taraf
ho gai gum hasin nazaron mein


chhu ke daman ko chhodte hi nahin
kitni apnaiyat hai kharon mein
main bhi wasi kisi chaman ka hun
mujh ko rakh phulon ki qataron mein


kaisa badla hai gulsitan ka nizam
dekhta hun khizan bahaaron mein
aag mein aaj kis ko jhonka gaya
phul khilne lage shararon mein


kyon haqarat se dekhte ho hamein
the kabhi hum bhi tajdaron mein
jab se dil us ne mera tod diya
be-sukun rahta hai bahaaron mein


dar hai shayad unhen zamane ka
baat karte hain jo ishaaron mein
kis ne puchha hai haal-e-dil 'rizwan'
chain aaya hai be-qararon mein


50016 viewsghazalEnglish