chand kal aisa laga taron ke bich
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
chand kal aisa laga taron ke bich
koi 'ashiq jaise gham-khwaron ke bich
sab se tanha log sahra mein nahin
ghumte phirte hain bazaron ke bich
ek saya aur bhi aangan mein tha
dhup mein baithe hue yaron ke bich
maut jis ke nam se tum dar gae
roz ka qissa hai bimaron ke bich
kaun se dil se ise hum ghar kahen
ek chhat hai chaar diwaron ke bich
kaisi khul kar sans aati thi mujhe
ho gaya bimar bimaron ke bich
koi 'ashiq jaise gham-khwaron ke bich
sab se tanha log sahra mein nahin
ghumte phirte hain bazaron ke bich
ek saya aur bhi aangan mein tha
dhup mein baithe hue yaron ke bich
maut jis ke nam se tum dar gae
roz ka qissa hai bimaron ke bich
kaun se dil se ise hum ghar kahen
ek chhat hai chaar diwaron ke bich
kaisi khul kar sans aati thi mujhe
ho gaya bimar bimaron ke bich
41811 viewsghazal • English