chand ki apni kahani raat ka qissa alag dastan-e-ishq mein hai tajraba sab ka alag ajnabi hum aaj se hain par safar to hai wahi sirf kah dene se hota hai kahin rasta alag ek lamha bas wahi hai aur baqi kuchh nahin zindagi sari alag aur wasl ka lamha alag raushni dipak ki suraj chand ki apni jagah nur se raushan tere mathe ka ye tika alag ishq ke bimar par sari dawaen be-asar chaara-gar us ki dawa ka hai zara nuskha alag chalte chalte aap ne dekha tha hum ko bas yun hi shahr mein us din se apna ho gaya rutba alag