chand lamhon mein moamma zist ka hal kar gaya

By mohammad-ali-mauj-rampuriMarch 20, 2021
chand lamhon mein moamma zist ka hal kar gaya
ek diwana khirad-mandon ko pagal kar gaya
dhup tapti ret par dariya pe baadal kar gaya
us ka har kirdar mere zehn ko shal kar gaya


be-asar be-rabt lahja be-tawazun guftugu
wo mila bhi to tabiat aur bojhal kar gaya
maslahat-amez baaten abr ban kar chha gain
dil ka sawan is tarah barsa ki jal-thal kar gaya


meri aahat pa ke jis ke chaunk uthte the kiwad
koi aaj is ghar ka darwaza muqaffal kar gaya
har taraf ye aam shohrat hai ki koi shah-sawar
aaj sare shahar ke logon ko paidal kar gaya


sard lahje mein wo mujh se guftugu karne ke baad
jab utha to rabt-e-zehn-o-dil moattal kar gaya
mauj us chehre pe likha ek lafz-e-intishaar
khud-farebi ke sabhi qisse mukammal kar gaya


33389 viewsghazalEnglish