chand nikla to samundar ki hawa tez hui

By abid-razaFebruary 17, 2025
chand nikla to samundar ki hawa tez hui
dard kuchh aur badha raat junun-khez hui
phir mere dil mein udasi ka diya jalne laga
phir teri yaad ko tanhai ki mahmez hui


jaise be-wajh kisi baat pe dil bhar aae
chashm-e-pur-khun usi andaz se labrez hui
na-rasai ki thakan aur wo tanhai ki raat
ek bayaban ki masafat thi bala-khez hui


shahr-e-gul-rang mein zakhmon ka sulagta mausam
aasman surkh faza aur bhi gul-rez hui
lashkari din ko bhi nikle the kamin-gahon se
han magar jang bahut sham ko khun-rez hui


mil gae khak mein jab chand sitare se log
tab kahin ja ki ye mitti meri zarkhez hui
67719 viewsghazalEnglish