chand nikla to teri yaad aai
By ustad-vajahat-husain-khanJanuary 5, 2024
chand nikla to teri yaad aai
dil ko dasne lagi hai tanhai
dard leta hai dil mein angdai
phir usi bewafa ki yaad aai
kaisa sawan hai ye tumhaare bin
dil ko bhati nahin hai purwai
wo tasawwur mein aise aate hain
dur bajti ho jaise shahnai
tera chehra ki jaise jhil-kanwal
chandni tujh ko dekh sharmai
dil ko phir yaad aa gai us ki
dard lene laga hai angdai
wo na ghar aa sake 'wajahat' ke
yaad un ki magar bahut aai
dil ko dasne lagi hai tanhai
dard leta hai dil mein angdai
phir usi bewafa ki yaad aai
kaisa sawan hai ye tumhaare bin
dil ko bhati nahin hai purwai
wo tasawwur mein aise aate hain
dur bajti ho jaise shahnai
tera chehra ki jaise jhil-kanwal
chandni tujh ko dekh sharmai
dil ko phir yaad aa gai us ki
dard lene laga hai angdai
wo na ghar aa sake 'wajahat' ke
yaad un ki magar bahut aai
42192 viewsghazal • English