chand sansen hain mera raKHt-e-safar hi kitna

By faza-ibn-e-faiziOctober 30, 2020
chand sansen hain mera rakht-e-safar hi kitna
chahiye zindagi karne ko hunar hi kitna
chalo achchha hi hua muft luta di ye jins
hum ko milta sila-e-husn-e-nazar hi kitna


kya pighalta jo rag-o-pai mein tha yakh-basta lahu
waqt ke jam mein tha shola-e-tar hi kitna
kis khata par ye uthana padi raaton ki salib
hum ne dekha tha abhi khwab-e-sahar hi kitna


hum bhi kuchh der ko chamke the ki bas rakh hue
sach to ye hai ki ram-o-raqs-e-sharar hi kitna
tarz-e-ehsas mein nudrat thi udhar hi kitni
fikr-o-jazabe mein tawazun hai idhar hi kitna


de diye khusraw-o-shirin ne use mod kai
warna yun fasla-e-tisha-o-sar hi kitna
tera irfan tu kya khud ko na pahchan saka
tha mera dara-e-ilm-o-khabar hi kitna


yak qadam besh nahin shab ki masafat lekin
ek tute hue tare ka safar hi kitna
ai 'faza' daman-e-alfaz hai ab bhi khali
tha yahan shakh-e-maani pe samar hi kitna


41672 viewsghazalEnglish