chand sitare phul parinde sham sawera ek taraf

By varun-anandFebruary 15, 2022
chand sitare phul parinde sham sawera ek taraf
sari duniya us ka charba us ka chehra ek taraf
wo lad kar bhi so jae to us ka matha chumun main
us se mohabbat ek taraf hai us se jhagda ek taraf


jis shai par wo ungli rakh de us ko wo dilwani hai
us ki khushiyan sab se awwal sasta mahnga ek taraf
sari duniya jo bhi bole sab kuchh shor-sharaba hai
sab ka kahna ek taraf hai us ka kahna ek taraf


zakhmon par marham lagwao lekin us ke hathon se
chaara-sazi ek taraf hai us ka chhuna ek taraf
us ne sari duniya mangi main ne us ko manga hai
us ke sapne ek taraf hain mera sapna ek taraf


50952 viewsghazalEnglish