chand suraj na sahi koi sitara hota rahnumai ke liye koi hamara hota hum ne kirdar jo andar se sanwara hota phir to bahar bhi bahut khub nazara hota aap jhuta hi sahi rishta banae rakhte dubne wale ko tinke ka sahaara hota us ne bheja hai mohabbat ke liye duniya mein kash is baat ko sinon mein utara hota jis mein ta'lim mohabbat ki mila karti ho kash aisa bhi kahin koi idara hota har musibat se nikal sakta hun tadbiron se kash taqdir se bachne ka bhi chaara hota sab ki aankhon mein sama jati wo taswir 'adib' chand ke 'aks mein jo 'aks tumhaara hota