chandni ne raat ka mausam jawan jaise kiya hum ne bhi chehra farozan shisha-e-mai se kiya pas-e-khuddari to hai lekin wafa-dushman nahin tum ne hum par tark-e-ulfat ka guman kaise kiya hum gunahon ki shariat se hue jab aashna jism ne jo faisla jaise diya waise kiya is liye ab dubne ke khauf se hain be-niyaz hum ne aaghaz-e-safar dariyaon ki tah se kiya raushni apni lutai hum ne suraj ki tarah andhi raaton mein ujala mashal-e-lai se kiya jab shuur aaya to 'farigh' wusat-fan ke liye istifada hum ne duniya ki har ek shai se kiya