chandni-raat hai taron ka saman baqi hai tujh se mil mil ke bichhadne ka guman baqi hai ab to bas nam hai ya sang-e-nishan baqi hai kaisi basti hai makin hain na makan baqi hai aatish-e-ishq bujhe ek zamana guzra rakh ke dher tale ab bhi dhuan baqi hai kitni sadiyon se to sargarm-e-amal hai duniya us ke ba-wasf magar kar-e-jahan baqi hai har taraf aam hai insan ki tabahi ka chalan kya kahin dahr mein ab ja-e-aman baqi hai