chappa-chappa do-jahan ka nur se mamur hai chashm-e-bina ho to har zarra charagh-e-tur hai parda-ha-e-chashm mein wo jalwa-e-mastur hai aaj meri har nazar barq-e-jamal-e-tur hai har taraf se aarzu-e-dil meri mahsur hai yani har arman par ek be-kasi mamur hai dasht-e-aiman hai na musa hain na koh-e-tur hai han teri banda-nawazi aaj tak mashhur hai kis qadar nazuk takhayyul hai junun-e-shauq ka mujh se har manzil pe kahta hai ki manzil dur hai wo tamanna wusat-e-kaunain jis ko tang thi ek goshe mein dil-e-mayus ke mahsur hai ye ajab andaz hai husn-e-tajalli-rez ka har nazar mein jalwa-gar har aankh se mastur hai aaj mujh ko be-niyaz-e-har-do-alam kar diya zarra zarra mere dil ka ishq ka mashkur hai rah se main hat gaya ya aa gai manzil qarib aaj zabt-e-mustaqil kyon aah par majbur hai ho na ho ab un ke aane ki khabar aane ko hai ashk to thamte nahin hain dil magar masrur hai un ki qismat ashk jin ke raat-din thamte nahin aah wo bekas jo zabt-e-ah par majbur hai dil mera minnat-pazir-e-lutf kyon ho ai 'munir' husn hai maghrur lekin ishq bhi ghayyur hai