charagh-e-hasrat-o-arman bujha ke baiThe hain

By January 1, 2017
charagh-e-hasrat-o-arman bujha ke baiThe hain
charagh-e-hasrat-o-arman bujha ke baithe hain
har ek tarh se khud ko jala ke baithe hain
na koi rahguzar hai na koi virana
gham-e-hayat mein sab kuchh luta ke baithe hain


junun ki had hai ki hosh-o-khirad ki manzil hai
khabar nahin hai kahan aaj aa ke baithe hain
kabhi jo dil ne kaha ab chalo yahan se chalen
to uth ke aalam-e-wahshat mein ja ke baithe hain


ye kis jagah pe qadam ruk gae hain kya kahiye
ki manzilon ke nishan tak mita ke baithe hain
84459 viewsghazalEnglish