charagh-e-kushta se qindil kar raha hai mujhe wo dast-e-ghaib jo tabdil kar raha hai mujhe ye mere mitte hue lafz jo damak uthe hain zarur wo kahin tartil kar raha hai mujhe main jagte mein kahin ban raha hun az-sar-e-nau wo apne khwab mein tashkil kar raha hai mujhe harim-e-naz aur ek umr baad main lekin ye ikhtisar jo tafsil kar raha hai mujhe badan pe taza nishan ban rahe hain jaise koi mere ghayab mein tahwil kar raha hai mujhe badal rahe hain mere khadd-o-khal 'turk' abhi musalsal aaina tawil kar raha hai mujhe