charagh-e-tur jalao bada andhera hai zara naqab uthao bada andhera hai abhi to subh ke mathe ka rang kala hai abhi fareb na khao bada andhera hai wo jin ke hote hain khurshid aastinon mein unhen kahin se bulao bada andhera hai mujhe tumhaari nigahon pe e'timad nahin mere qarib na aao bada andhera hai faraaz-e-arsh se tuta hua koi tara kahin se dhund ke lao bada andhera hai basiraton pe ujalon ka khauf tari hai mujhe yaqin dilao bada andhera hai jise zaban-e-khirad mein sharab kahte hain wo raushni si pilao bada andhera hai ba-nam-e-zohra-jzbinan-e-khitta-e-firdaus kisi kiran ko jagao bada andhera hai