charagh ka qad baDhane walon ki KHair ya rab
By javed-mehdiApril 5, 2022
charagh ka qad badhane walon ki khair ya rab
hawa ko dushman banane walon ki khair ya rab
musafiron ko jo dhup mein chhanw de rahe hain
ye ped-paude lagane walon ki khair ya rab
hum is se pahle to sirf nafrat ko jaante the
hamein mohabbat sikhane walon ki khair ya rab
main dar raha hun ki bhaw roti ka badh gaya hai
ye zahr sasta hai khane walon ki khair ya rab
ye khud hi mujh ko bulandiyon par bitha rahe hain
ki mujh ko nicha dikhane walon ki khair ya rab
main sadqe jaun ki kitni shirin zaban hai urdu
charagh-e-urdu jalane walon ki khair ya rab
hum aise shair unhin ke dam par uchhal rahe hain
sukhan ki bazmen sajaane walon ki khair ya rab

30688 viewsghazal • English