charagh us ne bujha bhi diya jala bhi diya ye meri qabr pe manzar naya dikha bhi diya ye chhed kya hai ye kya mujh se dil-lagi hai koi jagaya nind se jaga to phir sula bhi diya udhar tha lutf-o-karam un ka is taraf tha itab charagh umid ka raushan kiya bujha bhi diya ye shokhiyan nai dekhin tumhaari chitwan mein ki parda rukh pe liya aur phir utha bhi diya udhar lagaw idhar barhami ke hain aasar mujhe phansa bhi liya aur phir chhuda bhi diya nikal gae meri aankhon se saikadon aansu khazana jama kiya aur phir luta bhi diya naya hai husn ke bazar ka utar-chadhaw chadhaya sar pe nigahon se phir gira bhi diya zara to pas-e-talab aashiqon ka tum karte bulaya pas bhi phir pas se hata bhi diya ye un ka khel to dekho ki ek kaghaz par likha bhi nam mera aur phir mita bhi diya agarche rah-e-mohabbat hai tang-o-tar magar isi ke sath hamein aql ka diya bhi diya bashir sing kata kar mile hain bachhdon mein bane jawan budhape ka gham bhula bhi diya