charagh zulmat-e-be-nur mein jalana tera pasand aaya na logon ko aastana tera yunhi guzaroge tum arsa-e-hayat agar na hoga ek bhi pal koi jawedana tera bahut qarib se main tujh ko jaanta hun miyan har ek khub samajhta hun main bahana tera hamein banaoge jis waqt lashkari apna khata na hoga kisi taur bhi nishana tera na koi tujh ko bachaega qatl hone se padhenge log janaza bhi ghaebana tera na dega koi bhi mushkil ghadi mein sath tera agarche aaj ye girwida hai zamana tera siwae ek kafan ke na kuchh milega tujhe kisi bhi kaam na aaega ye khazana tera ise badalna hai ek roz khak mein aakhir saja ke rakkhega jo bhi nigar-khana tera 'nabil' is ke siwa aur kya diya tum ne hamari pith hai aur dost taziyana tera