charaghon ka gharana chal raha hai hawa se dostana chal raha hai jawani ki hawaen chal rahi hain buzurgon ka khazana chal raha hai meri gum-gashtagi par hansne walo mere pichhe zamana chal raha hai abhi hum zindagi se mil na pae taaruf ghaebana chal raha hai nae kirdar aate ja rahe hain magar natak purana chal raha hai wahi duniya wahi sansen wahi hum wahi sab kuchh purana chal raha hai ziyaada kya tawaqqoa ho ghazal se miyan bas aab-o-dana chal raha hai samundar se kisi din phir milenge abhi pina-pilana chal raha hai wahi mahshar wahi milne ka wada wahi budha bahana chal raha hai yahan ek madrasa hota tha pahle magar ab kar-khana chal raha hai
This is a great pyar ka natak shayari. True lovers of dostana shayari in english will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore purana waqt shayari. Please share if you liked this!!!