chashm-e-ana se baada-e-gham pi raha tha wo kal raat apne aap mein duba hua tha wo mujh ko mere wajud se bahar jo le gaya mere hi rup mein koi bahrupiya tha wo shor us ko zindagi ka sunai nahin diya shayad kisi ki chah mein duba hua tha wo mahshar mein mujh ko puchh raha tha har ek se malum baad mein hua mera khuda tha wo mujh sa hi shakhs koi mere aaine mein tha mujh ko hi dekh dekh ke ghabra raha tha wo 'afroz' aaya samne yun us ke dil ka chor taswir meri dekh ke sharma raha tha wo