chashm ko saunpi gai khidmat-e-khwab dil pe tari hai ajab haalat-e-khwab khwab ab ke na haqiqat ho jae ab ke aisi hai meri shiddat-e-khwab main ne padh li hain teri bhi aankhen sirf mujh par na laga tohmat-e-khwab tujh ko muzhda ho meri aankh ki ab mujh mein baqi na rahi himmat-e-khwab khwab makhfi hi rahe sab se yahan kaun karta hai bhala izzat-e-khwab meri aankhon mein guhar hain kitne mujh ko hasil hai bahut daulat-e-khwab tum ki jalwat se gurezan ho bahut ab to aa jao ki hai khalwat-e-khwab us ke pahre hain meri aankhon par us ko malum hai kya quwwat-e-khwab kitna be-khwab kiya hai tu ne chhod pichha mera ai aafat-e-khwab bas kaleja hi chaba jati hai kitni khunkhar hai ye wahshat-e-khwab kaenat aur hayat ai 'khalid' khwab mein jaise koi saat-e-khwab