chashm ne ki gauhar-afshani sarih ho gai ye hum se nadani sarih munh chhupa qatil ki teri hi taraf tak rahi hai chashm-e-qurbani sarih karbala-e-ishq mein ushshaq ki tegh o khanjar par hai mehmani sarih aaine mein bhi nahin padta hai aks hai teri taswir la-sani sarih zhaala-san kyun-kar ghule jawen na hum hai jo aansu mein pareshani sarih kyunki istiqlal ka dam maren hum ustukhan apne to hain pani sarih mazra-e-dil kis tarah sarsabz ho barq yan karti hai jaulani sarih mah-e-nau hai kis ke dar ka sajda-pash ruk gai hai us ki peshani sarih 'mushafi' dam tode hai marta nahin kar raha hai ye giran-jaani sarih