chaudhwan us chandar ka sal hua

By faez-dehlviOctober 29, 2020
chaudhwan us chandar ka sal hua
husn mein badr ba-kamal hua
tujh sa chanchal nahin zamane mein
ram mein ai man hiran ghazal hua


bagh-e-dil mein tu nakhl-e-tuba hai
sarw tujh qad se paemal hua
raat din tu rahe raqiban-sang
dekhna tera mujh muhaal hua


dekh kar tujh nayan ki shokhi kun
thak ke sahra-nashin ghazal hua
murgh-e-dil ke phansane ko mere
dana-o-dam zulf o khal hua


zulf ki har shikan mein tujh mera
dil giraftar baal baal hua
84358 viewsghazalEnglish