chehre ke khad-o-khal mein aaine jade hain hum 'umr-e-gurezan ke muqabil mein khade hain har sal naya sal hai har sal gaya sal hum udte hue lamhon ki chaukhat pe pade hain dekha hai ye parchhain ki duniya mein ki aksar apne qad-o-qamat se bhi kuchh log bade hain shayad ki mile zat ke zindan se rihai diwar ko chata hai hawaon se lade hain udte hain parinde to yahan jhil bhi hogi tapta hai bayaban-e-badan kos kade hain shayad koi 'isa-nafas aae unhen puchhe ye lafz jo be-jaan se kaghaz pe pade hain is baat ka mafhum main samjha nahin 'akhtar' taswir mein sahil pe kai kachche ghade hain