chehre tak un ke mast gai be-KHabar gai
By maulana-abdus-salam-nadviJanuary 18, 2022
chehre tak un ke mast gai be-khabar gai
jab jab gai nigah ba-nau-e-digar gai
dushwar ho gae hain ishaare bhi zoaf mein
is kaam se bhi ab to hamari nazar gai
saman-e-gham bhi hijr ki shab muntashir hua
tadpe to aansuon ki ladi bhi bikhar gai
go jis ki justuju thi wo yusuf nahin mila
lekin meri nigah se duniya guzar gai
yusuf ko saste dam zulekha ne le liya
taqdir thi ki husn ki qimat thahar gai
jab jab gai nigah ba-nau-e-digar gai
dushwar ho gae hain ishaare bhi zoaf mein
is kaam se bhi ab to hamari nazar gai
saman-e-gham bhi hijr ki shab muntashir hua
tadpe to aansuon ki ladi bhi bikhar gai
go jis ki justuju thi wo yusuf nahin mila
lekin meri nigah se duniya guzar gai
yusuf ko saste dam zulekha ne le liya
taqdir thi ki husn ki qimat thahar gai
23015 viewsghazal • English