chhalawa ho pari ho hur ho mahshar-laqa tum ho
By piyare-lal-raunaq-dehlwiFebruary 28, 2024
chhalawa ho pari ho hur ho mahshar-laqa tum ho
samajh mein kuchh nahin aata khuda jaane ki kya tum ho
sarapa naz ho rashk-e-pari ho mah-laqa tum ho
farogh-e-ru-e-'alam ho tajalli ho ziya tum ho
kahin ho tazgi-e-gul kahin baad-e-saba tum ho
meri jaan gulshan-e-husn-o-jawani ki faza tum ho
sarapa ghamza-o-shokhi-o-andaz-o-ada tum ho
kabhi tegh-e-do-paikar ho kabhi tir-e-qaza tum ho
khiche abru chadhi chitwan ghazab badle hue tewar
ba-shakl-e-khanjar-e-khun-khwar 'ashiq ki qaza tum ho
dam-e-raftar sae se bhi apne bach ke chalte ho
uda rakkha hai shokhi ne ki paband-e-haya tum ho
sanbhaalo hosh thero phir uthana hath mein khanjar
ladakpan hai bahut kamsin abhi nam-e-khuda tum ho
phanse ho kis ghazab mein hazrat-e-dil kya qayamat hai
asir-e-zulf-e-pechan ho giraftar-e-bala tum ho
hamare dil mein tum aur hum tumhaare dil mein rahte hain
na kuchh tum se juda hum hain na kuchh hum se juda tum ho
nikal kar ab kahan jaoge dil se aarzu ho kar
meri hasrat mera arman mera mudda'a tum ho
mukar jate ho dil le kar zara ghairat nahin aati
bade dam-baz ho jhute ho matlab-ashna tum ho
suna jab zikr chahat ka to yun andam se bole
yahi surat hai mere chahne walon mein kya tum ho
tumhaara hi tumhaara har rag-o-resha mein jalwa hai
nazar mein jaan mein aankhon mein dil mein ja-ba-ja tum ho

37697 viewsghazal • English