chhata ghubar to aankhon mein bhar gaya pani zara si der mein sar se guzar gaya pani na tha khayal ki chhat bhi hai aasman jaisi tadap rahe the ki jaane kidhar gaya pani labon pe harf-e-dua rakh ho gaya lekin dilon mein zakhm ki surat utar gaya pani ek e'tibar si diwar-e-ab hai har-su mere wajud ko zanjir kar gaya pani wo bhiga jism wo pairahan-e-haya ki shafaq phir ek gulab ko shadab kar gaya pani