chhoD kar jannat si galiyan ganw se aana paDa
By nidhi-gupta-kashishNovember 20, 2020
chhod kar jannat si galiyan ganw se aana pada
ek roti ke liye hi itna jurmana pada
ras aati thi na man ki rotiyan ghi se lagi
hae is pardesh mein phir bhuka so jaana pada
sa rega mapa dhani sa sani dha pa mag re
saz gar ruthe jo mutrib sargamen gana pada
ruh degi sath tera jism bas kar-e-hawas
wo samajhta hi nahin tha us ko samjhana pada
chahaton ki aas mein dhundha zamana ai 'kashish'
teri khatir dusre logon ko thukrana pada

90043 viewsghazal • English