chhoD kar mujhko kahin aur agar jaana hai
By meem-maroof-ashrafFebruary 27, 2024
chhod kar mujh ko kahin aur agar jaana hai
ja ijazat hai tujhe tujh ko jidhar jaana hai
tu to khushbu hai kisi samt chala jaega
main hun ek ret ka paikar so bikhar jaana hai
ek muddat hai hui rah mein chalte lekin
is ka jaana hi nahin hai ki kidhar jaana hai
ab teri yaad bhi kab mujh pe asar karti hai
tu bhi ek roz mere dil se utar jaana hai
lakh pad jaen hamein jaan ke lale lekin
jaan tujh ko hi meri jaan magar jaana hai
hum to 'ashiq hain miyan hum hain shabon ke 'adi
aap ja sakte hain gar aap ko ghar jaana hai
kije fir'aun se shaddad se 'ibrat hasil
zer ye ho gae sare jo zabar jaana hai
bas yahi sochte hum tum to na nafrat karte
na sahi aaj magar kal hamein mar jaana hai
ab ke bichhde hain to ye ji mein hai aaya 'qaisar'
ab nahin jina yahan jaan se guzar jaana hai

40370 viewsghazal • English