chhoD kar tujhko kahin aur nikal sakte the

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
chhod kar tujh ko kahin aur nikal sakte the
zindagi hum tera 'unwan badal sakte the
mar gae thik hua khatm kahani bhi hui
warna ek roz kahani se nikal sakte the


aaina hone ka nuqsan uthaya hum ne
mitti hote to kisi shakl mein dhal sakte the
mausam-e-hijr tera shukr bachaya tu ne
wasl ki aanch se hum warna pighal sakte the


aise mauqe’ to asiri mein kai bar mile
hum agar chahte zanjir badal sakte the
10871 viewsghazalEnglish