chhoTi si baat par tera lahja badal gaya

By umair-ali-anjumJanuary 5, 2024
chhoti si baat par tera lahja badal gaya
tu dekhte hi dekhte kaisa badal gaya
kyon ikhtilaf-e-rae ne tahzib chhin li
ye kya ki guftugu ka qarina badal gaya


khandaraat mein badal gaya har rasta yahan
aur kaghazon mein shahr ka naqsha badal gaya
kitni sahulaten hamein hasil thin qaid mein
thoda sa phadphadae to pinjra badal gaya


jab main kisi ke sath hua us ke ru-baru
mujh se to aaine ka rawayya badal gaya
pahle sa aaj kuchh bhi nahin hai 'umair' mein
ab aae ho ki jab mera huliya badal gaya


54939 viewsghazalEnglish