chhup ke ghar ghair ke jaya na karo rabt har ek se badhaya na karo ai buto baal banaya na karo sanp hathon pe khelaya na karo sabza-e-khat ko dikhaya na karo tote hathon ke udaya na karo rind gham hijr ka khaya na karo jaan ko apni khapaya na karo tazkira ghair ka laya na karo jale ko aur jalaya na karo munh ko ghunche ke chidaya na karo gul ko khilli mein udaya na karo muddaa jo ho zaban se kaho saf harf-e-matlab ko chabaya na karo apna samjho mera dil shauq se lo meri jaan apna paraya na karo mujh ko bhi yaad hain fiqre sahib jod bande pe banaya na karo khud main dam-baz hun hai dhyan kidhar mujh ko fiqron mein udaya na karo hosh mein aao pari-zado tum mujh ko diwana banaya na karo hum lahu thuk ke mar jaenge lali honton pe jamaya na karo log saudai hue jate hain dhadi missi ki lagaya na karo ho na angusht-numa misl-e-hilal jaan nauchandi mein jaya na karo ai buto apne khuda ko mano kaba-e-dil ko to dhaya na karo main to hazir hun wafadari mein tum karo mujh se wafa ya na karo dhoke dariya mein bhabuka se hath aag pani mein lagaya na karo mujh se khalwat ki mulaqat rahe roz jalwat mein bulaya na karo waste bande ke bad-nami hai jaan sohbat mein bithaya na karo dekhne walon ki jaanib dekho is tarah aankh churaya na karo sharm beja hai bura karte ho achchhi surat ko chhupaya na karo jao dariya pe na tum ghair ke sath aise meindhe to ladaya na karo dant pisa na karo aashiq par jaan yun honth chabaya na karo chaar din wasl mein hans lene do aath aath aansu rulaya na karo log bad-waza kahenge tum ko mele-thele kabhi jaya na karo jaan kis kaam ka ye bhola-pan dam mein har ek ke aaya na karo aashiqon ki buri gat hoti hai tum sitari to bajaya na karo hazrat-e-dil yahi farmate hain ishq-e-mashuq chhupaya na karo khush nahin aata agar mera kalam to ghazal bhi meri gaya na karo thamo ab qabza-e-shamshir ai 'rind' koft par koft uthaya na karo