chhupate rahte hain dukh-dard ro nahin pate

By sajid-raheemFebruary 28, 2024
chhupate rahte hain dukh-dard ro nahin pate
ye wo jahan hai jahan mard ro nahin pate
wo khushk-sali hai ab ke ki dukh mein bhi hum log
saron mein dal to len gard ro nahin pate


ab is samaj ko nukta ye kaun samjhae
rulane lagte hain jo mard ro nahin pate
shajar qabila hai apna so hum se jo bichhde
hare se hote hain hum zard ro nahin pate


satati rahti thi hum ko talab mohabbat ki
wo aag jab se hui sard ro nahin pate
badha chadha ke batata hun un ko apna dukh
main kya karun mere hamdard ro nahin pate


mazaq udane ki logon ko aisi 'adat hai
ki mar bhi jae koi fard ro nahin pate
74644 viewsghazalEnglish