chilman jo ek ruKH pe thi phenki utar kar
By ajay-agyatMarch 24, 2022
chilman jo ek rukh pe thi phenki utar kar
hum ne ana ki gathri bhi rakh di utar kar
us par ja ke kyon na koi lautta kabhi
dekhenge hum bhi dariya mein kashti utar kar
pinjra khula to ruh ko behad sukun mila
sari thakan jism ne rakh di utar kar
jis ka ticket jahan ka hai us ko usi jagah
ye zindagi ki rail hai chalti utar kar

62076 viewsghazal • English