chubhe jab dil mein Khaar-e-‘ishq phir kamtar nikalte hain
By aafaq-banarasiAugust 13, 2024
chubhe jab dil mein khar-e-‘ishq phir kamtar nikalte hain
nikalte hain agar to jaan hi le kar nikalte hain
tere nawak jo sine mein kabhi chubh kar nikalte hain
to ban kar khun arman-e-dil-e-muztar nikalte hain
kidhar ka qasd hai kis ka muqaddar aaj jaga hai
talab hota hai shana aaina zewar nikalte hain
tumhaara tir rasta rok kar sine mein baitha hai
jo nale bhi nikalte hain to ruk-ruk kar nikalte hain
wo kahte hain ajal hoti hai jis ki hum pe marta hai
qaza aati hai jab chyunti ki us ke par nikalte hain
hasinon ko jo dekho shakl kaisi bholi hoti hai
tatolo dil agar un ke to wo patthar nikalte hain
laga di garmi-e-ulfat ne kaisi aag sine mein
ki aankhon se jo aansu ki jagah akhgar nikalte hain
koi dekhe zara 'afaq' ki us waqt kaifiyyat
kabhi hazrat jo sahba-e-sukhan pi kar nikalte hain

59639 viewsghazal • English