chup-chap habs-e-waqt ke pinjre mein mar gaya jhonka hawa ka aate hi kamre mein mar gaya suraj lihaf odh ke soya tamam raat sardi se ek parinda dariche mein mar gaya jo nakhuda ko kah na saka umr bhar khuda wo shakhs kal ana ke jazire mein mar gaya editori ne kat din takhliq ki ragen achchha-bhala adib risale mein mar gaya suraj ne aansuon ki tawanai chhin li shabnam sa shakhs dhup ke qasbe mein mar gaya is martaba bhi sachchi gawahi usi ne di is martaba magar wo katahre mein mar gaya 'nasik' wo apni zat mein manzil se kam na tha wo rah-raw-e-hayat jo raste mein mar gaya
This is a great sardi shayari image. Please share if you liked this!!!