chup-chap tu masti mein yahan apni uDe ja

chup-chap tu masti mein yahan apni ude ja
har baat pe khush rah ke tu har dam hi hanse ja

jine hi kahan dete hain ye log kisi ko
tu maut samajh zist ko aur hans ke jiye ja

dekhe hain kai girte hue baam falak se
duniya hai sitamgar yahan tu gir ke uthe ja

baatil ka yahan sath nahin dena tu ai dil
haq baat ke har nuqte pe himmat se lade ja

muflis ke liye jina hai har daur mein mushkil
ye muflisi ka zahr bhi hans hans ke piye ja

aaram nahin paega hai daud hayati
hai qabr mein aaram yahi baat sune ja

'koki' ne to ki baat hamesha hi pate ki
ye baat agar sach hai to phir baat sune ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close