chup guzar jata hun hairan bhi ho jata hun

By shehpar-rasoolNovember 21, 2020
chup guzar jata hun hairan bhi ho jata hun
aur kisi din to pareshan bhi ho jata hun
sidha rasta hun magar mujh se guzarna mushkil
gumrahon ke liye aasan bhi ho jata hun


faeda mujh ko sharafat ka bhi mil jata hai
par kabhi bais-e-nuqsan bhi ho jata hun
apne hi zikr ko sunta hun harifon ki tarah
apne hi nam se anjaan bhi ho jata hun


raunaqen shahr basa leti hain mujh mein apna
aan ki aan mein sunsan bhi ho jata hun
zindagi hai to badal leti hai karwat 'shahpar'
aadmi hun kabhi haiwan bhi ho jata hun


49891 viewsghazalEnglish