chup hai aaghaz mein, phir shor-e-ajal padta hai aur kahin bich mein imkan ka pal padta hai ek wahshat hai ki hoti hai achanak tari ek gham hai ki yakayak hi ubal padta hai yaad ka phul mahakte hi nawah-e-shab mein koi khushbu se mulaqat ko chal padta hai hujra-e-zat mein sannata hi aisa hai ki dil dhyan mein gunjti aahat pe uchhal padta hai rok leta hai abad waqt ke us par ki rah dusri samt se jaun to azal padta hai saaton ki yahi takrar hai jari har-dam meri duniya mein koi aaj, na kal padta hai tab-e-yak-lahza kahan husn-e-junun-khez ke pesh sans lene se tawajjoh mein khalal padta hai mujh mein phaili hui tariki se ghabra ke koi raushni dekh ke mujh mein se nikal padta hai jab bhi lagta hai sukhan ki na koi lau hai na rau dafatan harf koi khun mein machal padta hai gham chhupae nahin chhupta hai karun kya 'irfan' nam lun us ka to aawaz mein bal padta hai