chupke chupke ek to tis aap jamani auron se tis ulti hum ko tohmat aa ke lagani auron se hum se to bas bandhe rakhti sharm ki patti aankhon par chori chori mahfil mein par aankh ladani auron se auron ke to hum se na kahne hum se le kar ji ki baat jun ki tun sab baat ye kyun ji ja ke sunani auron se mujh se kaho ho aahen bhar bhar huk jigar mein uthti hai aur yunhi dar-parda apni chah jatani auron se laung khilaen hum jo kabhi to us ko dalo munh se thuk aur ye kyun ji roz mufarreh chhinke khani auron se auron ke to ghar mein ja kar daud ke pini aap sharab mere aage pi nahin sakte mang ke pani auron se hum jo padhen koi sher to kahna sher se hum ko zauq nahin 'mir'-hasan ke ghar mein kahani ja ke padhani auron se parda is mein kya hai pyare duniya mein 'maruf' hai ye aashiq se hai bair tujhe aur ulfat jaani auron se