dagh-e-dil se mah-o-KHurshid ko nisbat kya hai

By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
dagh-e-dil se mah-o-khurshid ko nisbat kya hai
samne aaen to khul jae haqiqat kya hai
jo samajhta hi nahin ramz-e-mohabbat kya hai
dil use dete hain apni bhi tabi'at kya hai


tere diwane ko fikr-e-gham-e-rahat kya hai
wo samajhta hi nahin dozakh-o-jannat kya hai
ban gai har rag-e-jaan rishta-e-sham’-e-sozan
naseha puchh na soz-e-tap-e-furqat kya hai


mar chuke dafn hue mit gaya turbat ka nishan
ab unhen qabr pe aane ki zarurat kya hai
jab nazar aata hai har chiz mein jalwa tera
phir main kyon puchhun ki kasrat mein ye wahdat kya hai


sar-ba-kham ho gae hum dekhte hi ai qatil
teri talwar bhi mehrab-e-‘ibaadat kya hai
kabhi ka'ba mein kabhi dair mein dekha tujh ko
ye bata de mujhe 'rafat' teri hasrat kya hai


61089 viewsghazalEnglish