dam-ba-dam mera taraf-dar hua karta tha

By aarif-nazeerJuly 28, 2024
dam-ba-dam mera taraf-dar hua karta tha
ye jo dushman hai kabhi yar hua karta tha
jo tere dil se tadi-par hua karta tha
marg-e-tanhai se do-chaar hua karta tha


main samajhta tha mohabbat hi meri daulat hai
par mera yar samajh-dar hua karta tha
ek masiha-e-mohabbat ka matab samne tha
aur main shauq se bimar hua karta tha


hae wo log jo kahte the wahi karte the
jin ka likkha hua shahkar hua karta tha
pahle tahzib se khabren bhi padhi jati thin
aur akhbar bhi akhbar hua karta tha


chashm-e-hairan mein liye phirta hai apni hasrat
khush-nasibi ka jo me'yar hua karta tha
aankh-bhar dekh liya karta tha us ko phir main
aaina dekh ke sarshaar hua karta tha


ye jo rasta tumhein dushwar nazar aata hai
chaar qadmon ki meri mar hua karta tha
ab mujhe dekh ke munh pher liya karta hai
pahle wo aaina-bardar hua karta tha


ab to dushman bhi nahin hai wo hamara 'arif'
yar wo yar jo dil-dar hua karta tha
95975 viewsghazalEnglish