dam-ba-dam sina-e-hasti mein sinan TuTti hai
By abid-razaFebruary 17, 2025
dam-ba-dam sina-e-hasti mein sinan tutti hai
dekhna ye hai ki ab sans kahan tutti hai
ek mohabbat ki bacha rakkhi thi dil mein kab se
wo surahi bhi mere tishna-dahan tutti hai
dhund hi legi ufuq par falak-zad ki aankh
ek siyah ghaar jahan kahkashan tutti hai
naghma-saman 'ajab andaz se hai saz-e-ajal
sur simatte hain jahan tan wahan tutti hai
aakhiri tir chalana hai khud apni jaanib
lekin is bar iradon ki kaman tutti hai
dur ek yaad ke sahil pe hai wo mah-e-tamam
fasla itna ki bas aas-e-jahan tutti hai

12085 viewsghazal • English