dam-e-ruKHsat faraham hijr ka saman karte hain

By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
dam-e-rukhsat faraham hijr ka saman karte hain
dil-e-hairat-zada ko aur bhi hairan karte hain
uthaen kis qadar ehsan karam-farmaiyon ka hum
zamane-bhar mein kahte hain ki wo ehsan karte hain


nazar-andaz karne ka gila un se nahin lekin
hamein bhi dekhna hai wo kise mehman karte hain
daraate kya ho nadanon unhen unchi 'imarat se
chatanon ka jo sina chir kar maidan karte hain


wafa ki justuju mein hum kisi viran raste par
mata’-e-zindagi ka kis qadar nuqsan karte hain
darun-e-zat ki pechidgi kuchh kam nahin 'ahmar'
zamane ke liye hum sha'iri aasan karte hain


23104 viewsghazalEnglish