dam sau rakhte hain lafzon mein suKHanwar mujhse
By abdul-wahab-sukhanApril 24, 2024
dam sau rakhte hain lafzon mein sukhanwar mujh se
baat kijega zara soch samajh kar mujh se
mujhe khalti nahin tanhai safar ki yun bhi
guftugu karte hain sab rah ke patthar mujh se
wo jo hain lazzat-e-tafhim-e-sukhan se waqif
she'r sunte hain wahi log mukarrar mujh se
mujh ko dar tha ki kahin fasle badh jaen magar
wo qarib aa gaya kuchh aur simat kar mujh se
wo jo bichhda hai sukhan laut ke kab aaega
puchhte rahte hain ye sham ke manzar mujh se

21092 viewsghazal • English