daman pe wo ashkon ki tahrir nazar aai

By vishnu-kumar-shauqFebruary 15, 2022
daman pe wo ashkon ki tahrir nazar aai
har gham mein mohabbat ki taswir nazar aai
ye fasl-e-bahaaran ka eajaz maaz-allah
zanjir na thi lekin zanjir nazar aai


aaina-e-irfan mein jab husn-e-azal dekha
har barg ki jumbish mein taqdir nazar aai
ai sham-e-alam ruk ja ek ashk ne lau di hai
ab tujh se nibhane ki tadbir nazar aai


gulshan ki fazaon ne kaisa ye chalan badla
phulon mein bhi kanton ki tasir nazar aai
hasil hai sukun lekin betab nigahen hain
aakhir ye hamein kis ki taswir nazar aai


nakaami-e-paiham se jab tut gai himmat
taskin ki ek surat taqdir nazar aai
aaina-e-gulshan par jab chashm-e-khirad thahri
phulon ke bhi pairon mein zanjir nazar aai


hum un se shikayat bhi ai 'shauq' kahan karte
har-gam pe jab apni taqsir nazar aai
12323 viewsghazalEnglish