daman qarar-e-dil ke sab tar tar dekhe jab teri wadiyon ke kuchh aabshaar dekhe jis ne teri khizan ke aise nikhaar dekhe gulzar-e-khuld ki phir wo kya bahaar dekhe har subh ki jhalak mein har sham ki shafaq mein sau sau tarah ke hum ne naqsh-o-nigar dekhe baadal ka ghir ke aana kud ki pahadiyon par ai kash wo nazara phir chashm-e-zar dekhe ek parda-posh aalam ko be-naqab dekha jab sabz sabz tere ye kohsar dekhe gul-rez sarzamin mein wo dil-farebiyan hain jo ek bar dekhe wo bar bar dekhe bach bach ke jin se ab tak tai kar rahe the rahen wo tir aaj hum ne sine ke par dekhe