danista kabhi aisi himaqat nahin karta
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
danista kabhi aisi himaqat nahin karta
fankar hun tauhin-e-mohabbat nahin karta
kya ras use aaegi dastar-e-fazilat
jo apne usulon ki hifazat nahin karta
is daur mein hum us ko farishta hi kahenge
faqon mein jo ghairat ki tijarat nahin karta
tufan se ladne ka agar shauq na hota
main ‘azmat-e-sahil se baghawat nahin karta
shayad hai 'aziz us ko meri muflisi 'alam'
wo mere muqaddar ki marammat nahin karta

76243 viewsghazal • English