dar-ba-dar phirta hun par un ko nahin pata hun main

dar-ba-dar phirta hun par un ko nahin pata hun main
ek shisha hai ki har patthar se takraata hun main

taq-e-nisyan ho gain ab zindagi ki shokhiyan
kah nahin sakta magar sab kuchh kahe jata hun main

karwan-e-zindagi ruk ruk ke kyon chalne laga
chal nahin sakta magar phir bhi chala jata hun main

munfarid hai ye ghazal aur tarah ka misra bhi hai
koi katib likhta jae jo bhi likhwata hun main

aag ka dariya hai aur ye dub kar jaana bhi hai
tairta jata hun jitna dubta jata hun main

zindagi mein 'shad' ki hai shadmani ka saman
har qadam har mod par ek zindagi pata hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close