dar dar phirte logon ko dar de maula banjaron ko bhi apna ghar de maula jo auron ki khushiyon mein khush hote hain un ka bhi ghar khushiyon se bhar de maula zulm-o-sitam ho khatm na ho dahshat-gardi amn-o-aman ki yun barish kar de maula bhuke pyase muflis aur yatim hain jo nazar-e-inayat un par bhi kar de maula jo karte hain khun-kharaba zulm-o-sitam un ke bhi dil mein thoda dar de maula